Surah Baqarah Benefits

Surah Baqarah Benefits

Surah Baqarah Benefits

Surah baqarah quran pak ki sab se bari sorat hai. Ye quran pak ki dosri sorat hai or ye surat baqarah 286 ayat par mushtamil hai. Is sorat ko HAZRAT MUHAMMAD (SAW) par nazil kia gia. Quran pak me kuch surah ko ziada ahmiyat di gai hai surah baqrah un mese ek hai. Aj ham apko surah baqarah ke benefits apko btaye ge.

Surah baqarah me hazrat adam alaihisalam, hazrat mosa alihisalam and hazrat ibrahim alihisalam ki zindagi par baat ki gai hai.

Ayat al-kursi 

Ayat al-kursi bhi surah baqarah ki 255 surah se shuru hoti hai. Keo ke Allahu la ilaha illa hu wa al Hayy ul Qayyum se shorow hoti hai is liye ise ayat al-kursi kaha jane laga.


Benefits of Surah Baqarah

Surah baqarah ke darj zail faida hai
  • Jis ghar me surah baqarah ki rozana talawat hoti hai waha kabhi bhi shetan nahi ata
  • Surah baqarah se itna Ziada sowab hota hai ke qayamat ke din apko bohat asani hoti hai
  • Hazoor pak(SAW) ne farmaya  “Indeed Allah wrote in a book two thousand years before He created the heavens and the earth, and He sent down two Ayahs (verses) from it to end Surah al Baqarah with. If they are recited for three nights in a home, no Shaitan (devil) shall come near it.”
  • Surah baqarah me aisi bhi ayat hai agar ose kisi pagal ke opar par kar phonka jae to wo thek ho jata hai.

Post a Comment

0 Comments